Posts

Showing posts from 2017

Wah Kya Joodo Karam Hai Shahe Bat-ha Tera.

Image
Wah Kya Joodo Karam Hain Shahe Bat-Ha Tera, Nahi Sunta Hi Nahi Maangne Waala Tera... Dhaare Chalte Hain Ataa Ke Wo Hain Qatra Tera, Tare Khilte Hain Sakhaa Ke Wo Hain Zar-ra Tera... Faiz Hain Ya Shahe Tasneem Nirala Tera, Aap Pyaso Ke Tajas-sus Me Hain Dariya Tera... Agniyan Palte Hain Dar Se Wo Hain Bada Tera, Asfiya Chalte Hain Sar Se Wo Hain Rasta Tera... Farsh Waale Teri Shaukat Ka Uloo Kya Jaane, Khusrava Arsh Pe Udta Hain Pharera Tera... Aasmaan Khwan Zameen Khwan Zamana Mehmaan, Sahibe Khana Laqab Kiska Hain Tera Tera... Main To Maalik Hi Kahunga Ke Ho Maalik E Habeeb, Ya’ani Mehboob o Muheeb Me Nahi Mera Tera... Tere Qadmo Me Jo Hain Ghair Ka Muh Kya Dekhe, Kaun Nazro Pe Chadhe Dekh Ke Talwa Tera... Bahre Sa-il Ka Hu Sa-il Na Kuwe Ka Pyasa, Khud Bujha Jaye Kaleja Mera Cheeta Tera... Chor Haakim Se Chupa Karta Hain Ya Uske Khilaf, Tere Daamam Me Chupe Chor Anokha Tera... Aankhein Thandi Ho Jigar Taze Ho Jaan-E-Sairaab, Sachhe Suraj Wo Dil-Aara Hai Ujala Tera

Faaslo Ko Takalluf Hai Hum Se Agar.

Image
Faslon ko takalluf hai hum se agar Hum bhi be-bas nahi be-sahara nahi, Khud unhi ko pukarenge hum dur se Raaste me agar paun thak jaayenge... Jaise hi Sabz Gumbad nazar aayega Bandagi Ka qareena badal jaayega, Sar jhukane ki fursat milegi kise, Khud hi aankhon se sajde tapak jaayenge... Hum Madine me tanha nikal jaayenge Aur galiyon me qasdan bhatak jaayenge, Hum wahan jaake wapas nahi aayenge Dhundte dhundte log thak jaayenge... Naam unka jahan bhi liya jaayega Zikr unka jahan bhi kiya jaayega, Noor hi Noor sinon me bhar jaayega Saari Mehfil me jalwe lapak jaayenge... Aye Madine ke zaair khuda keliye Dastaan-e-safar mujhko yoon mat suna, Dil tadap jaayega baat badh jaayegi Mere mohtat aansu chalak jaayenge... Unki chashm-e-karam ko hai iski khabar Kis musafir ko hai kitna shauq-e-safar, Hum ko IQBAL jab bhi ijaazat mili Hum bhi Aaqa ke Darbaar tak jaayenge.

Chalo Diyaar-e-Nabi Ki Jaanib Durood Lab Par Saja Saja Kar.

Image
Chalo diyaar-e-nabi ki janib Durood lab par saja saja kar, Baharain lutainge hum karam ki D ilon ko daman bana bana kar... Na unke jaisa sakhi hai koi Na unke jaisa ghani hai koi, Wo be-nawa-o ko har jaga se Nawaazte hain bula bula kar... Main wo nikamma hoon jiski jholi Main koi husn-e-amal nahi hai, Magar wo ehsaan kar rahe hain Khata-ain meri chupa chupa kar... Hai unku ummat se pyar kitna Karam hai rahmat shi'aar kitna, Hamaare jurmon ko dho rahe hain Wo apne aansu baha baha kar... Yahi asaas-e-amal hai meri Issi se bigdi bani hai meri, Samett-ta hoonn karam khuda ka Nabi ki naatain suna suna kar... Wo raahain ab tak saji hui hain Dilon ka kaaba bani hui hain, Jahan jahaan se Huzoor guzre Hain naqsh apna jama jama kar... Agar muqaddar ne yaawri ki Agar madine gaya main Khaalid , Qadam qadam khaak us gali ki Mein chum lunga utha utha kar.

Manzar Fizaae Dehr Me Saara ALI Ka Hai

Image
Manzar fizaae dehr me saara ALI ka hai , Jis simt dekhta hu nazarah ALI ka Hai... Dunya e Aatshi ki phaban Mujtaba HASAN, Laqt-e-jigar NABI ka to pyara ALI ka hai... Hasti ki aabo taab HUSSAIN aasman janaab, ZEHRA ka laal raaj dulara ALI ka Hai... Marhab do neem hai sar-e-maqtal pada hua, Uthne ka ab nahi ke ye Mara ALI ka hai... Kul ka Jamaal juz ke chere se hai ayaan, Ghode pe Hai HUSSAIN nazara ALI ka hai... Ay Arze Paak! Tujh ko mubarak ke tere paas, Chamane NABI ka Chand sitarah ALI ka hai... Ahle hawas ki luqmae tar par teri nazar, Naane Jawee pe sirf guzara ALI ka hai... *Tum dakhl de rahe ho aqidat ke baab me,* *Dekho muamela yeh hamara ALI ka Hai...* Hum faqr mast chahne wale ALI ke hai, Dil par hamare sirf ijara ALI ka hai... *Aasar padh ke mehdi-e-dauran ka yon laga,* *Jaise zahoor wo bhi dubarah ALI ka Hai...* Dunya me koun hai apna bajuz ALI, hum bekason ko hai to Sahara ALI ka hai... Ashabi'kan nujoom ka irshaad bhi baja, Sabse magar buland sita

Tera Naam Khwaja Moinuddin, Tu Rasool-e-Paak Ki Aal Hai.

Image
Tera naam Khwaja Moinuddin Tu Rasool-e-Paak ki aal hai, Teri shaan Khwaja-e-Khwajgan Tujhe bekaso ka khayaal hai... Mera bigda waqt sawar do Mere Khwaja mujhko nawaz do, Teri ek nigaah ki baat hai Meri zindagi ka sawal hai... Main Ghada-e-Khwaja-e-Chist hoon Mujhe is ghadai pe naaz hai, Mera naaz Khwaja pe kyun na ho Mera Khwaja banda nawaaz hai... Mera Khwaja ataa-e-rasool hai Woh Bahaar e Chisht ka phool hai, Woh Bahar-e-Gulshan-e-Fatima Chaman-e-Ali ka nihaal hai... Yaha bheek milti hai be guma Yeh bade sakhi ka hai aastan, Yaha sab ki bharti hai jholiya Yeh Dar-e-Garib Nawaz hai.

Tere Hote Janam Liya Hota, Phir To Tujhe Mila Hota.

Image
Tere hote janam liya hota, Fir kabhi to tujhe mila hota... Kaash mai sang-e-dar tera hota, Tere qadmon ko chumta hota... Tu chala karta meri palkon par, Kaash mai tera raasta hota... Chand hota mai asmanon par, Teri ungli se kat gaya hota... Zarra hota jo teri rahon ka, Tere talwon ko chu liya hota... Ladta firta mai tere ada se, Tere khatir mai mar gaya hota... Tere maskan ke gird sham-o-sehar, Ban ke mangta mai fir raha hota... Tu kabhi to mujhe bhi tak leta, Tere takne pe bik gaya hota... Tere naa'lain sar pe rakh leta, Waqt apna jaga liya hota... Tu kabhi to meri khabar leta, Tere kuche me ghar kiya hota... Ap aate  mere janaze par, Tere hote mai mar gaya hota... Chod kar jannatein palat aata, Tu meri qabr par khada hota... Hota TAHIR tere faqeeron me, Teri Dehleez par pada hota.

Ya Nabi Dekha Hai Rutba Aap Ki Naalain Ka, Arsh Ne Chuma Hai Talwa Aap Ki Naalain Ka.

Image
Ya Nabi dekha hai rutba aap ki naalain ka, Arsh ne chuma hai talwa aap ki naalain ka... Aap ki qidmat ka mujh ko kaash mil jaata sharaf, Baand ta haaton se thasma aap ki naalain ka... Aap ke khadmon ki narmi qalb par mehsoos ki, Jab bhi Maine naksh dekha aap ki naalain ka... Hashr me jab log chume aap ke dast e karam, Sab se chup kar loon mai bosa aap ki naalain ka... Rouz e mahshar sar pe suraj jab Sava neze par ho, Ek neze par ho saaya aap ki naalain ka... Jisse aage jaaye to jal jaaye par Jibreel ke, Usse aage jaana dekha aap ki naalain ka... Taj kyun na bheek maange aap ke naalain ki, Tajwar khatain hai sadqa aap ki naalain ka... Quab me ek baar to aajaao na mere aaqa, Akar dedo mujh ko sadqa aap ki naalain ka... Assalatu wasallamu alaika ya Rasool Allah, Assalatu wasallamu alaika ya Habeeb Allah.

Har Waqt Tasawwur Mein Madine Ki Gali Ho

Image
Har Waqt Tasawwur Mein Madine Ki Gali Ho, Aur Yaad Muhammad Ki Mere Dil Mein Basi Ho... Do Soz-e-Bilaal Aaqa Mile Dard Raza Sa, Sarkaar Ata Ishq Owais-e-Qarni Ho... Phir Rehmate Baari Se Chaloon Sooye Madina, Aye Kaash Muqaddar Se Mayassar Woh Ghadi Ho... Aye Kaash Mai Banjaun Madine Ka Musafir, Phir Roti Huwi Taiba Ko Baaraat Chali Ho... Aye Kaash Madine Mein Mujhe Maut Yoon Aaye, Qadmon Mein Tere Sar Ho Meri Rooh Chali Ho... Jab Leke Chalo Gharibaan Ko Janazah, Kuch Khaak Madine Ki Mere Munh Pe Saji Ho... Jab Aaun Madine Me To Har Chaak Girebaan, Aankhon Se Barasti Huwi Ashkon Ki Jhadi Ho... Aaqa Ki Shafa'at Se To Jannat Hi Milegi, Aye Kaash Ke Qadmon Me Jagah Unke Mili Ho... Jis Waqt Nakeerain Meri Qabr Mein Aaye, Us Waqt Saji Lab Pe Mere Naat-e-Nabi Ho... Aaqa Ka Gada Hoon Aye Jahannam Tu Bhi Sunle, Woh Kaisi Jale Jo Ke Ghulam-e-Madani Ho... Allah Karam Aisa Kare Tujh Par Jahaan Mein, Aye Dawate Islami Teri Dhoom Machi Ho... Sadqa Mere Murshid Ka Karo Door

Aye Sabz Gumbad Waale Manzoor Dua Karna

Image
Aye sabz gumbad wale Manzoor dua karna, Jab waqt e naza aaye Deedar ataa karna... Aye Noor e Khuda aa kar Ankho me sama jana Ya dar pe bula lena Ya khawab me aa jana, Aye parda nasheen dil ke Parde me raha karna Jab waqt e naza aaye Deedar aata karna... Mai qabr andheri me Ghabraunga jab tanha Imdaad meri karne Aa jana mere aaqa, Roshan meri turbat ko Aye noor e Khuda karna Jab waqt e naza aaye deedar ataa karna... Mujrim hu jaha bhar ka Mehshar me bharam rakhna Rusva e zamana hu Daman me chupa lena, Maqbool yeh aarz meri lillah zara karna Jab waqt e naza aaye Deedar ataa karna... Chehre se ziya payi Inn chand sitaro ne Us dar se shifa paaye Dukh dard ke maaron ne, Aataa hai unhe Sabir Har dukh ki dawa karna Jab waqt e naza aaye Deedar ataa karna.

Chootey Na Kabhi Tera Daaman, Ya Khwaja Moinuddin Hasan.

Image
Chootey na kabhi tera daaman Ya Khwaja Moinuddin Hasan, Hai tum pe fida sab tan mann dann Ya Khwaja Moinuddin Hasan... Ajmer mujhe pohnchaade Khuda Chaadar mai chadaaun phoolon ki, Yeh sadqa karun tan mann apna Ya Khwaja Moinuddin Hasan... Farzande Ali ho Noor e Nabi Mehboob e Khuda hain zaat teri, Ek baar dikha Rauza Apna Ya Khwaja Moinuddin Hasan... Kaaba ho Madina ho ya Najaf Har simpt nazar tum aate ho, Kuch aisi lagi hai tum se lagan Ya Khwaja Moinuddin Hasan... Waliyon ke wali ho tum Khwaja Aur ibne sakhi ho tum Khwaja, Tum Aal e Nabi Awlaad e Ali Ya Khwaja Moinuddin Hasan... Aqaa ki atah woh Noor e Ali Zahrah ki kali waliyo ke wali, Hasnain ke dil Usmaan ke nayan Ya Khwaja Moinuddin Hasan.

Dar-e-Nabi par pada rahunga, Pade hi rehne se kaam hoga.

Image
Dar-e-Nabi par pada rahunga Pade hi rehne se kaam hoga, Kabhi to qismat khulegi meri Kabhi to mera salaam hoga... Khilaaf-e-mashooq kuch huwa hai Na koi aashiq se kaam hoga, Khuda bhi hoga udhar bhi aye dil Jidhar woh aali maqaam hoga... Kiye hi jaunga arz matlab Milega jab tak na dil ka matlab, Na shaam-e-matlab ki subha hogi Na yeh fasaana tamaam hoga... Jo dil se hai maa’il-e-Payambar Yeh is ki pehchaan hai muqarrar, Ke har dam is be-nawa ke lab par Durood hoga salam hoga... Isi tawaqqo pe ji raha hoon Yehi tamanna jila rahi hai, Nigah-e-lutfo karam na hogi To mujh ko jeena haram hoga.

Tu Shahe Quban Tu Jaan-e-Jaana, Hai Chehra Ummul Khitaab Tera.

Image
Tu Shah-e-quban tu jaan-e-jaana Hai chehra Ummul Khitab tera, Na ban saki hai na ban sake ga Misal teri jawab tera... Tu sab se awwal tu sab se aakhir Mila hai Husn-e-Dawam tujhko, Hai umar lakho baras ki teri Magar hai taza shabab tera... Khuda ki ghairat ne daal rakhi Hai tujh pe sattar hazaar parde, Jahaan me lakho hi tur bante Jo ek bhi uthta hijab tera... Ho Mushq-o-Ambar ya Boo-e-Jannat Nazar me uski hai be haqeeqat, Mila hai jisko mala hai jisne Pasina rashk-e-gulaab tera... Mai tere Husn-o-Bayaan ke sadqe Mai teri meethi zubaan ke sadqe, Ba Rang-e-Khushbu dilo pe utra Hai kitna dilkash khitaab tera... Hai tu bhi Saa’im ajeeb insaan Jo khouf-e-mehshar se hai harasan, Are tu jinki hai naat padhta Wohi to lenge hisaab tera.

Aye Chara Gare Shauq Koi Aisi Dawa De

Image
Aye chara gare shauq koi aisi dawa de, Jo dil se har ek ghair ki chahat ko bhula de... Bas dekh liya duniya ke rishton ka tamasha, Maqlooq se umeed ke sab deep bujha de... Pakiza tamannaein bhi lati hai udasi, Har zauq talab shauq tamanna hi mita de... De lazzate dedar ki behoshi mai wo hosh, Jo hasti tarifo taAyyun ko gawa de... Ek mai hoon faqath tu ho aur Aalam e hoo ho, Aye husn e Aazal sare hijabath utha de... Mai khud ko bhi khud apne se phir dhoond na paon, Yun atishai sozaan se meri raaq jala de... Hoon tere hijabath ki dahleez pe kab se, Ek baar Zara dekh le ek parda hata de... Sou baar bulaya tujhe sou baar sataya, Tu bhi to kabhi raat ko mil chupke nida de... Khud dekh le tu soya hai mai jaag raha hoon, Tu bhi to kabhi meri wafaon ka sila de... Bas ek hi Surat hai idhar unki nazar ki, Juz unke har ek yaad har ek baat bhula de... Kyun hook si uthi hai dil e zaar se TAHIR , Is basti e viraan ke khashokhashath jala de.