Posts

Showing posts from March, 2017

Aye Sabz Gumbad Waale Manzoor Dua Karna

Image
Aye sabz gumbad wale Manzoor dua karna, Jab waqt e naza aaye Deedar ataa karna... Aye Noor e Khuda aa kar Ankho me sama jana Ya dar pe bula lena Ya khawab me aa jana, Aye parda nasheen dil ke Parde me raha karna Jab waqt e naza aaye Deedar aata karna... Mai qabr andheri me Ghabraunga jab tanha Imdaad meri karne Aa jana mere aaqa, Roshan meri turbat ko Aye noor e Khuda karna Jab waqt e naza aaye deedar ataa karna... Mujrim hu jaha bhar ka Mehshar me bharam rakhna Rusva e zamana hu Daman me chupa lena, Maqbool yeh aarz meri lillah zara karna Jab waqt e naza aaye Deedar ataa karna... Chehre se ziya payi Inn chand sitaro ne Us dar se shifa paaye Dukh dard ke maaron ne, Aataa hai unhe Sabir Har dukh ki dawa karna Jab waqt e naza aaye Deedar ataa karna.

Chootey Na Kabhi Tera Daaman, Ya Khwaja Moinuddin Hasan.

Image
Chootey na kabhi tera daaman Ya Khwaja Moinuddin Hasan, Hai tum pe fida sab tan mann dann Ya Khwaja Moinuddin Hasan... Ajmer mujhe pohnchaade Khuda Chaadar mai chadaaun phoolon ki, Yeh sadqa karun tan mann apna Ya Khwaja Moinuddin Hasan... Farzande Ali ho Noor e Nabi Mehboob e Khuda hain zaat teri, Ek baar dikha Rauza Apna Ya Khwaja Moinuddin Hasan... Kaaba ho Madina ho ya Najaf Har simpt nazar tum aate ho, Kuch aisi lagi hai tum se lagan Ya Khwaja Moinuddin Hasan... Waliyon ke wali ho tum Khwaja Aur ibne sakhi ho tum Khwaja, Tum Aal e Nabi Awlaad e Ali Ya Khwaja Moinuddin Hasan... Aqaa ki atah woh Noor e Ali Zahrah ki kali waliyo ke wali, Hasnain ke dil Usmaan ke nayan Ya Khwaja Moinuddin Hasan.

Dar-e-Nabi par pada rahunga, Pade hi rehne se kaam hoga.

Image
Dar-e-Nabi par pada rahunga Pade hi rehne se kaam hoga, Kabhi to qismat khulegi meri Kabhi to mera salaam hoga... Khilaaf-e-mashooq kuch huwa hai Na koi aashiq se kaam hoga, Khuda bhi hoga udhar bhi aye dil Jidhar woh aali maqaam hoga... Kiye hi jaunga arz matlab Milega jab tak na dil ka matlab, Na shaam-e-matlab ki subha hogi Na yeh fasaana tamaam hoga... Jo dil se hai maa’il-e-Payambar Yeh is ki pehchaan hai muqarrar, Ke har dam is be-nawa ke lab par Durood hoga salam hoga... Isi tawaqqo pe ji raha hoon Yehi tamanna jila rahi hai, Nigah-e-lutfo karam na hogi To mujh ko jeena haram hoga.

Tu Shahe Quban Tu Jaan-e-Jaana, Hai Chehra Ummul Khitaab Tera.

Image
Tu Shah-e-quban tu jaan-e-jaana Hai chehra Ummul Khitab tera, Na ban saki hai na ban sake ga Misal teri jawab tera... Tu sab se awwal tu sab se aakhir Mila hai Husn-e-Dawam tujhko, Hai umar lakho baras ki teri Magar hai taza shabab tera... Khuda ki ghairat ne daal rakhi Hai tujh pe sattar hazaar parde, Jahaan me lakho hi tur bante Jo ek bhi uthta hijab tera... Ho Mushq-o-Ambar ya Boo-e-Jannat Nazar me uski hai be haqeeqat, Mila hai jisko mala hai jisne Pasina rashk-e-gulaab tera... Mai tere Husn-o-Bayaan ke sadqe Mai teri meethi zubaan ke sadqe, Ba Rang-e-Khushbu dilo pe utra Hai kitna dilkash khitaab tera... Hai tu bhi Saa’im ajeeb insaan Jo khouf-e-mehshar se hai harasan, Are tu jinki hai naat padhta Wohi to lenge hisaab tera.

Aye Chara Gare Shauq Koi Aisi Dawa De

Image
Aye chara gare shauq koi aisi dawa de, Jo dil se har ek ghair ki chahat ko bhula de... Bas dekh liya duniya ke rishton ka tamasha, Maqlooq se umeed ke sab deep bujha de... Pakiza tamannaein bhi lati hai udasi, Har zauq talab shauq tamanna hi mita de... De lazzate dedar ki behoshi mai wo hosh, Jo hasti tarifo taAyyun ko gawa de... Ek mai hoon faqath tu ho aur Aalam e hoo ho, Aye husn e Aazal sare hijabath utha de... Mai khud ko bhi khud apne se phir dhoond na paon, Yun atishai sozaan se meri raaq jala de... Hoon tere hijabath ki dahleez pe kab se, Ek baar Zara dekh le ek parda hata de... Sou baar bulaya tujhe sou baar sataya, Tu bhi to kabhi raat ko mil chupke nida de... Khud dekh le tu soya hai mai jaag raha hoon, Tu bhi to kabhi meri wafaon ka sila de... Bas ek hi Surat hai idhar unki nazar ki, Juz unke har ek yaad har ek baat bhula de... Kyun hook si uthi hai dil e zaar se TAHIR , Is basti e viraan ke khashokhashath jala de.