Dar-e-Nabi par pada rahunga, Pade hi rehne se kaam hoga.
Dar-e-Nabi par pada rahunga
Pade hi rehne se kaam hoga,
Kabhi to qismat khulegi meri
Kabhi to mera salaam hoga...
Khilaaf-e-mashooq kuch huwa hai
Na koi aashiq se kaam hoga,
Khuda bhi hoga udhar bhi aye dil
Jidhar woh aali maqaam hoga...
Kiye hi jaunga arz matlab
Milega jab tak na dil ka matlab,
Na shaam-e-matlab ki subha hogi
Na yeh fasaana tamaam hoga...
Jo dil se hai maa’il-e-Payambar
Yeh is ki pehchaan hai muqarrar,
Ke har dam is be-nawa ke lab par
Durood hoga salam hoga...
Isi tawaqqo pe ji raha hoon
Yehi tamanna jila rahi hai,
Nigah-e-lutfo karam na hogi
To mujh ko jeena haram hoga.
Masha Allah subhanallah
ReplyDeleteMashallah mashallah bahut khoob
ReplyDelete