Zikr-e-Ahmed Se Seena Saja Hai

Zikre Ahmed se seena saja hai
Ishq hai ye tamasha nahin hai,
Wo bhi dil koi dil hai jahaan mein
Jisme tasveere taibah nahin hai...

Ae meri maut ruk ja abhi tu Phir chalenge (milenge) jahaan tu kahegi,
Apne mashke tasavvur mein taibah
Maine jee bhar ke dekha nahin hai...

Hajj ki daulat jise mil na paaye
Jaaye jaaye wo ghar apne jaaye,
Maa ke kadmon ko wo choom le jo
Sange Asvad ko chooma nahin hai...

Hum husaini hain karbal ke shaida
Dil kabhi bhi na hota hai maila,
Kufr (Shirk) ki dhamkiyon se dare jo
Sunniyon ka kaleja nahin hai...

LaaMakaan tak hai teri rasai
Geet gaati hai saari khudai,
Wo jagah hi nahi do jahan me
Jis jagah tera charcha nahi hai...

Khak paaye nabi munh pe malna
Itr ho mustafa ka paseena,
Unki chadar ka tukda kafan ho
Aur koi tamanna nahin hai.

Comments

  1. سبحان اللہ سبحان اللہ بہت خوب

    ReplyDelete
  2. May God bless who was righten this

    ReplyDelete
  3. Mashalla very nice ❤️❤️❤️❤️❤️

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

YA NABI SALAM ALAIKA, YA RASOOL SALAM ALAIKA...

Shah-e-Taiba Ke Naam Do Kadam Saath Saath

Suye Taiba Ye Samajh Kar Hai Zamane Jaate