Nikhri Nikhri Pyari Pyari Mustafa Ki Guftagu

Nikhri nikhri pyari pyari Mustafa ki Guftagu,
Aab-e-Kausar se bhi mithi Mustafa ki Guftagu...

Jisko sunkar apna har gham bhool jaate hai sabhi,
Qalb ko Taskeen deti Mustafa ki Guftagu...

Noor ki kirnein nikhri mou jab bhi bolte,
Noor se bharpur hoti Mustafa ki Guftagu...

Keh uthe be saqta sunkar Fasihan-e-Arab,
Ho nahi sakti bashar ki Mustafa ki Guftagu...

Baat sunte the Tahamul se har ek insan ki,
Dil kisi ka na dukhati Mustafa ki Guftagu...

Mustafa ki Guftagu pe Guftagu hum kya karein,
Hum hai adna aur hai Aali Mustafa ki Guftagu...

Hashr mai aayi Nida jaaye musafir khuld me,
Ke jahan me isne ki thi Mustafa ki Guftagu.

Comments

Popular posts from this blog

YA NABI SALAM ALAIKA, YA RASOOL SALAM ALAIKA...

Shah-e-Taiba Ke Naam Do Kadam Saath Saath

Suye Taiba Ye Samajh Kar Hai Zamane Jaate