Tumhara Naam Musibat Me Jab Liya Hoga
Tumhara naam musibat me jab liya hoga,
Humara bigda hua kaam ban gaya hoga...
Gunahgaar pe jab lutf aap ka hoga,
Kya baghair kya be kya kya hoga...
Khuda ka lutf hoga dastagir zaroor,
Jo girte girte tera naam le liya hoga...
Dikhai jaaige mehshar me shaane mahboobi,
Ke aap hi ki khushi aap ka kaha hoga...
Khudaye paak ki chahein ge agle pichle khushi,
Khudaye paak khushi unki chahta hoga...
Kisi ke paaon ki bedi ye kaat te honge,
Koi aseere gham unko pukaarta hoga...
Kisi taraf se sada aayegi Huzoor aao,
Nahi to dam me gareebon ka faisala hoga...
Kisi ke palle pe ye honge waqt wazne amal,
Koi umeed se mooh unka tak raha hoga...
Koi kahe ga duhaai hai Ya RasoolAllah,
To koi thaam ke daman machal gaya hoga...
Kisi ko leke chalein ge farishte sooye jaheem,
Wo unka raasta phir phir ke dekhta hoga...
Shikastha paaon mere haal ki khabr kar do,
Koi kisi se ye ro ro ke ke raha hoga...
Khuda ke waaste jald unse arze haal karo,
Kise khabr hai ke dambhar me haal kya hoga...
Pakad ke haath koi haale sunaye ga,
To ro ke qadmon pe koi machal gaya hoga...
Zaban sookhi dikha kar koi labe kausar,
Janabe paak ke qadmon pe gir gaya hoga...
Nishaane husrawe Di door me gulaamon ko,
Liwaye hamd ka parcham bata raha hoga...
Koi qareebe tarazu koi labe kausar,
Koi sirat pe unko pukaarta hoga...
Ye beqaraar karegi sada gareebon ki,
Ke muqaddas aankhon se talaash ka banda hoga...
Wo paak dil ke nahi jisko apna andesha,
Khoj me fikr o tarazu me gir gaya hoga...
Hazaar jaan fida narm paaon se,
Pukaar unke aseeron ki daudta hoga...
Azeez bache ko maa jis tarha talaash kare,
Khuda gawa yahi haal aap ka hoga...
Khudai bhar inhi haaton ko dekhti hogi,
Zamana bhar unhi qadmon pe lowt ta hoga...
Maqaam faasilon par kaam mukhtalif itne,
Wo din zahoore kamaale Huzoor ka hoga...
Kahein ge aur Nabi 'iz habu ila ghairi',
Mere Huzoor ke saamne sajde me sar jhuka hoga...
Gulaam unki inayat se chain me honge,
Aduw Huzoor ka aafath me mubtala hoga...
Mai unke dar ka bhikari hoon fazle Moula se,
HASSAN faqeer ka jannat me bistara hoga.
Maasha Allah
ReplyDeleteSubha Allah
ReplyDeleteMere Hassan raza ki baat hi Khuch or he kiya kalam likha he
ReplyDeleteIs Naatepak me ek shair correct karlwn admin
ReplyDeleteKhuda ka lutf huwa hoga dastagir zaroor,
kia bat hai
ReplyDeleteNaat ko ache se typing kare bht jagah ghlti h
ReplyDeleteG.. Sahi farmaya aap ne
DeleteMaslak e aala hazrat zindabaad
ReplyDeleteMolana Hassan.Raza ka Bht piara kalam
ReplyDeleteShubanallah mashallah Alhamdulillah
ReplyDeleteMasha Allah subhan Allah
ReplyDeleteAdmin ek sher me apne, shayad be dhyaani me, kufr likh diya hai..
ReplyDeleteis sher ko durust kre... kahege or nabi iz habu ila ghairi..
iski doosri line hai..
mere nabi k lab par Ana Laha hoga..
G sahi farmaya aapne
DeleteMASHAALLAH SUBHANALLAH
ReplyDeleteMashaAllah
ReplyDeleteMashaallah.
ReplyDeleteسبحان الله
ReplyDeleteMasha Allah
ReplyDeleteALLAH IS NAAT KO POST KARNE WALE KO HAZRAT HASAN RAZA KE SADQE IMAAN PAR MOUT NASEEB FARMAYE.
ReplyDeleteAMEEN