Luft Unka Aam Ho Hi Jayega

Lutf unka aam ho hi jayega,
Shaad har naa kaam ho hi jayega...

Jaan dedun wada-e-deedar par,
Naqd apna daam ho hi jayega...

Shaad hai Firdous yaani ek din,
Qismat-e-khud daam ho hi jayega...

Yaad reh jayegi ye be-baakhiyaan,
Nafs tu to raam ho hi jayega...

Be-Nishaanon ka nishaan mit-ta nahi,
Mit-te mit-te naam ho hi jayega...

Yaad-e-Gesun Zikr-e-Haq hai aah kar,
Dil me paida Laam ho hi jayega...

Ek din aawaaz badlegi ye saaz,
Chah-chaha koh-raam ho hi jayega...

Saail-o-Daaman saqi ka thaam lo,
Khud na khud in-aam ho hi jayega...

Yaad-e-Abru kar ke tadpo bulbulu,
Tukde tukde daam ho hi jayega...

Muflison unki gali me jaa pado,
Baal-e-khuld ikraam ho hi jayega...

Gar yuhin rahmat ki taaweelein rahi,
Mahad har il-zaam ho hi jayega...

Baada Quari ka saman bandne to do,
Shaikh durd-e aa-shaam ho hi jayega...

Gham to unku bhulkar lipta hai yun,
Jaise apna kaam ho hi jayega...

Mit ki gar yunhi raha qarz-e-hayaat,
Jaan ka ni-laam ho hi jayega...

Aakilon unki nazar seedhi rahe,
Borwon ka bhi kaam ho hi jayega...

Ab to laayi hai shafa'at afw par,
Bad-te bad-te aam ho hi jayega...

Ay RAZA har kaam ka ek waqt hai,
Dil ko bhi aaraam ho hi jayega.

Comments

Popular posts from this blog

YA NABI SALAM ALAIKA, YA RASOOL SALAM ALAIKA...

Shah-e-Taiba Ke Naam Do Kadam Saath Saath

Suye Taiba Ye Samajh Kar Hai Zamane Jaate