Karam Ke Badal Baras Rahe Hain
Karam ke badal baras rahe hain
Dilon ki kheti hari bhari hai,
Ye kaun aaya ke zikr jinka
Nagar nagar hai galli galli hai...
Diye dilon ke jalaye rakha
Nabi ki mehfil sajaye rakhna,
Jo rahat-e-dil sukoon jaan hai
Woh zikr zikr-e-Muhammadi hai...
Jo gaaliyah sun ke dein duaein
Buron ko apne gale lagaye,
Saraapa lutf-o-karam jo tehre
Wo mere aaqa ki zindigi hai...
Nabi ko apna Khuda na maano
Magar Khuda se juda na jaano,
Yeh Ahl-e-imaan ka hai aqeeda
Khuda Khuda hai Nabi Nabi hai...
Main apni qismat pe kyun na jhoomun
Main kyun na waliyon ke dar ko chumun,
Main naam-e-lewa Mustafa ka
Khuda ke bandon se dosti hai...
Hai dosh par jin ke kamli kaali
Wohi to hain do jahan ke waali,
Koi sawali na bheja khaali
Ye shaan mere kareem ki hai...
Na maango duniya ke tum khazane
Chalo Niyaazi chalein Madine,
Ke baadshahi se bhad ke pyare
Nabi ke dar ki gadaagari hai.
Comments
Post a Comment