Apni Nisbat Se Mai Kuch Nahi Hoon
Apni nisbat se mai kuch nahi hu
Is karam ki badaulat bada hu,
Unke tukdo se aizaz pakar
Tajdaaro ki saf me khada hoon...
Is karam ko magar kya kahoge
Maine maana mai sabse bura hoon,
Jo buron ko samete huye hai
Unke kadmo me mai bhi pada hoon...
Dekhne walo mujh ko na dekho
Dekhna hai agar toh ye dekho,
Kiske daman se wabasta hoon mai,
Kaun waali hai kiska gadha hoon...
Dekhta hoon jab unki ataein
Bhul jata hu apni khataye,
Sar na damat se uthta nahi
Jab mai apni taraf dekhta hoon...
Shafaye muzniba ke karam ne
Laaj rakhli mere khote pan ki,
Nisbaton ka karam hai ye Khalid
Khota hue bhi khada hoon...
Ya nabi apne gham ki kahani
Keh sakunga apni zubani,
Bin kahe hi meri laaj rakhlo
Mai sisakti huyi iltija hoon.
Comments
Post a Comment