Naat Padhne Ki Aadat Badi Cheez Hai

Naat kehta hoon main
Naat padhta hoon main,
Pyare Aaqa ki midhat badi cheez hai
Ye sa'adat bhi hai ye ibadat bhi hai,
Naat padhne ki aadat badi cheez hai...

Sher bakri ko lekar gaya shaan se
Log samjhe ke bakri gayi jaam se,
Mustafa ki badaulat ama mil gayi
Mustafa ki ziyarat badi cheez hai...

Jaan ki baazi laga kar bhi na kaam ho
Ek ada chodh kar kaisa be kaam ho,
Sirf miswak se jang ko jeetli
Mere Aaqa ki sunnat badi cheez hai...

Mai bahot der se Naat padhta raha
Aap bhi shauk se Naat sunte rahe,
Naat sunkar ke bhi aap khamosh hai
Aap logon ki himmat badi cheez hai...

Char sau saal se saamp bataab tha
Uski aankhon me bas ek hi khwaab tha,
Ek nazar dekhlon rube badruduja
Uske dil ki ye hasrat badi cheez hai...

Jisko chaaha Nabi ne wali kar diya
Ek nazar uth gayi aur Ali kar diya,
Pucho Siddiq Farooq Osman se
Mustafa ki khilafat badi cheez hai...

Maa ke khadmon ko sar pe uthaye chalo
Uski tazeem dil me basaye chalo,
Usse katra ke dozaq me jaao na tum
Maa ke khadmon ki jannat badi cheez hai...

Mustafa jaan e rahmat ka faizan hai
Ahle sunnat ka mehfooz emaan hai,
Aala Hazrat ka aalam me ailaan hai
Mustafa ki Muhabbat badi cheez hai.

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

YA NABI SALAM ALAIKA, YA RASOOL SALAM ALAIKA...

Shah-e-Taiba Ke Naam Do Kadam Saath Saath

Suye Taiba Ye Samajh Kar Hai Zamane Jaate