Aye Chara Gare Shauq Koi Aisi Dawa De
Aye chara gare shauq koi aisi dawa de,
Jo dil se har ek ghair ki chahat ko bhula de...
Bas dekh liya duniya ke rishton ka tamasha,
Maqlooq se umeed ke sab deep bujha de...
Pakiza tamannaein bhi lati hai udasi,
Har zauq talab shauq tamanna hi mita de...
De lazzate dedar ki behoshi mai wo hosh,
Jo hasti tarifo taAyyun ko gawa de...
Ek mai hoon faqath tu ho aur Aalam e hoo ho,
Aye husn e Aazal sare hijabath utha de...
Mai khud ko bhi khud apne se phir dhoond na paon,
Yun atishai sozaan se meri raaq jala de...
Hoon tere hijabath ki dahleez pe kab se,
Ek baar Zara dekh le ek parda hata de...
Sou baar bulaya tujhe sou baar sataya,
Tu bhi to kabhi raat ko mil chupke nida de...
Khud dekh le tu soya hai mai jaag raha hoon,
Tu bhi to kabhi meri wafaon ka sila de...
Bas ek hi Surat hai idhar unki nazar ki,
Juz unke har ek yaad har ek baat bhula de...
Kyun hook si uthi hai dil e zaar se TAHIR,
Is basti e viraan ke khashokhashath jala de.
Very nice lines.. subhanallah
ReplyDeleteMashaAllah
ReplyDeleteHeart touching lines...
ReplyDelete