Chootey Na Kabhi Tera Daaman, Ya Khwaja Moinuddin Hasan.

Chootey na kabhi tera daaman
Ya Khwaja Moinuddin Hasan,
Hai tum pe fida sab tan mann dann
Ya Khwaja Moinuddin Hasan...

Ajmer mujhe pohnchaade Khuda
Chaadar mai chadaaun phoolon ki,
Yeh sadqa karun tan mann apna
Ya Khwaja Moinuddin Hasan...

Farzande Ali ho Noor e Nabi
Mehboob e Khuda hain zaat teri,
Ek baar dikha Rauza Apna
Ya Khwaja Moinuddin Hasan...

Kaaba ho Madina ho ya Najaf
Har simpt nazar tum aate ho,
Kuch aisi lagi hai tum se lagan
Ya Khwaja Moinuddin Hasan...

Waliyon ke wali ho tum Khwaja
Aur ibne sakhi ho tum Khwaja,
Tum Aal e Nabi Awlaad e Ali
Ya Khwaja Moinuddin Hasan...

Aqaa ki atah woh Noor e Ali
Zahrah ki kali waliyo ke wali,
Hasnain ke dil Usmaan ke nayan
Ya Khwaja Moinuddin Hasan.

Comments

Popular posts from this blog

YA NABI SALAM ALAIKA, YA RASOOL SALAM ALAIKA...

Shah-e-Taiba Ke Naam Do Kadam Saath Saath

Suye Taiba Ye Samajh Kar Hai Zamane Jaate