Faaslo Ko Takalluf Hai Hum Se Agar.

Faslon ko takalluf hai hum se agar
Hum bhi be-bas nahi be-sahara nahi,
Khud unhi ko pukarenge hum dur se
Raaste me agar paun thak jaayenge...

Jaise hi Sabz Gumbad nazar aayega
Bandagi Ka qareena badal jaayega,
Sar jhukane ki fursat milegi kise,
Khud hi aankhon se sajde tapak jaayenge...

Hum Madine me tanha nikal jaayenge
Aur galiyon me qasdan bhatak jaayenge,
Hum wahan jaake wapas nahi aayenge
Dhundte dhundte log thak jaayenge...

Naam unka jahan bhi liya jaayega
Zikr unka jahan bhi kiya jaayega,
Noor hi Noor sinon me bhar jaayega
Saari Mehfil me jalwe lapak jaayenge...

Aye Madine ke zaair khuda keliye
Dastaan-e-safar mujhko yoon mat suna,
Dil tadap jaayega baat badh jaayegi
Mere mohtat aansu chalak jaayenge...

Unki chashm-e-karam ko hai iski khabar
Kis musafir ko hai kitna shauq-e-safar,
Hum ko IQBAL jab bhi ijaazat mili
Hum bhi Aaqa ke Darbaar tak jaayenge.

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

YA NABI SALAM ALAIKA, YA RASOOL SALAM ALAIKA...

Shah-e-Taiba Ke Naam Do Kadam Saath Saath

Suye Taiba Ye Samajh Kar Hai Zamane Jaate