Chalo Diyaar-e-Nabi Ki Jaanib Durood Lab Par Saja Saja Kar.

Chalo diyaar-e-nabi ki janib
Durood lab par saja saja kar,
Baharain lutainge hum karam ki
Dilon ko daman bana bana kar...

Na unke jaisa sakhi hai koi
Na unke jaisa ghani hai koi,
Wo be-nawa-o ko har jaga se
Nawaazte hain bula bula kar...

Main wo nikamma hoon jiski jholi
Main koi husn-e-amal nahi hai,
Magar wo ehsaan kar rahe hain
Khata-ain meri chupa chupa kar...

Hai unku ummat se pyar kitna
Karam hai rahmat shi'aar kitna,
Hamaare jurmon ko dho rahe hain
Wo apne aansu baha baha kar...

Yahi asaas-e-amal hai meri
Issi se bigdi bani hai meri,
Samett-ta hoonn karam khuda ka
Nabi ki naatain suna suna kar...

Wo raahain ab tak saji hui hain
Dilon ka kaaba bani hui hain,
Jahan jahaan se Huzoor guzre
Hain naqsh apna jama jama kar...

Agar muqaddar ne yaawri ki
Agar madine gaya main Khaalid,
Qadam qadam khaak us gali ki
Mein chum lunga utha utha kar.

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

YA NABI SALAM ALAIKA, YA RASOOL SALAM ALAIKA...

Shah-e-Taiba Ke Naam Do Kadam Saath Saath

Suye Taiba Ye Samajh Kar Hai Zamane Jaate