Ya Nabi Dekha Hai Rutba Aap Ki Naalain Ka, Arsh Ne Chuma Hai Talwa Aap Ki Naalain Ka.

Ya Nabi dekha hai rutba aap ki naalain ka,
Arsh ne chuma hai talwa aap ki naalain ka...

Aap ki qidmat ka mujh ko kaash mil jaata sharaf,
Baand ta haaton se thasma aap ki naalain ka...

Aap ke khadmon ki narmi qalb par mehsoos ki,
Jab bhi Maine naksh dekha aap ki naalain ka...

Hashr me jab log chume aap ke dast e karam,
Sab se chup kar loon mai bosa aap ki naalain ka...

Rouz e mahshar sar pe suraj jab Sava neze par ho,
Ek neze par ho saaya aap ki naalain ka...

Jisse aage jaaye to jal jaaye par Jibreel ke,
Usse aage jaana dekha aap ki naalain ka...

Taj kyun na bheek maange aap ke naalain ki,
Tajwar khatain hai sadqa aap ki naalain ka...

Quab me ek baar to aajaao na mere aaqa,
Akar dedo mujh ko sadqa aap ki naalain ka...

Assalatu wasallamu alaika ya Rasool Allah,
Assalatu wasallamu alaika ya Habeeb Allah.

Comments

Popular posts from this blog

YA NABI SALAM ALAIKA, YA RASOOL SALAM ALAIKA...

Shah-e-Taiba Ke Naam Do Kadam Saath Saath

Suye Taiba Ye Samajh Kar Hai Zamane Jaate