Manzar Fizaae Dehr Me Saara ALI Ka Hai

Manzar fizaae dehr me saara ALI ka hai,
Jis simt dekhta hu nazarah ALI ka Hai...

Dunya e Aatshi ki phaban Mujtaba HASAN,
Laqt-e-jigar NABI ka to pyara ALI ka hai...

Hasti ki aabo taab HUSSAIN aasman janaab,
ZEHRA ka laal raaj dulara ALI ka Hai...

Marhab do neem hai sar-e-maqtal pada hua,
Uthne ka ab nahi ke ye Mara ALI ka hai...

Kul ka Jamaal juz ke chere se hai ayaan,
Ghode pe Hai HUSSAIN nazara ALI ka hai...

Ay Arze Paak! Tujh ko mubarak ke tere paas,
Chamane NABI ka Chand sitarah ALI ka hai...

Ahle hawas ki luqmae tar par teri nazar,
Naane Jawee pe sirf guzara ALI ka hai...

*Tum dakhl de rahe ho aqidat ke baab me,*
*Dekho muamela yeh hamara ALI ka Hai...*

Hum faqr mast chahne wale ALI ke hai,
Dil par hamare sirf ijara ALI ka hai...

*Aasar padh ke mehdi-e-dauran ka yon laga,*
*Jaise zahoor wo bhi dubarah ALI ka Hai...*

Dunya me koun hai apna bajuz ALI,
hum bekason ko hai to Sahara ALI ka hai...

Ashabi'kan nujoom ka irshaad bhi baja,
Sabse magar buland sitara ALI ka hai...

Tu Kya Hai aur Kya hai tere ilm ki bisaat,
Tujh par Karam NASEER  yeh Sara ALI ka hai.

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

YA NABI SALAM ALAIKA, YA RASOOL SALAM ALAIKA...

Shah-e-Taiba Ke Naam Do Kadam Saath Saath

Suye Taiba Ye Samajh Kar Hai Zamane Jaate