Karam Ke Badal Baras Rahe Hain
Karam ke badal baras rahe hain Dilon ki kheti hari bhari hai, Ye kaun aaya ke zikr jinka Nagar nagar hai galli galli hai... Diye dilon ke jalaye rakha Nabi ki mehfil sajaye rakhna, Jo rahat-e-dil sukoon jaan hai Woh zikr zikr-e-Muhammadi hai... Jo gaaliyah sun ke dein duaein Buron ko apne gale lagaye, Saraapa lutf-o-karam jo tehre Wo mere aaqa ki zindigi hai... Nabi ko apna Khuda na maano Magar Khuda se juda na jaano, Yeh Ahl-e-imaan ka hai aqeeda Khuda Khuda hai Nabi Nabi hai... Main apni qismat pe kyun na jhoomun Main kyun na waliyon ke dar ko chumun, Main naam-e-lewa Mustafa ka Khuda ke bandon se dosti hai... Hai dosh par jin ke kamli kaali Wohi to hain do jahan ke waali, Koi sawali na bheja khaali Ye shaan mere kareem ki hai... Na maango duniya ke tum khazane Chalo Niyaazi chalein Madine, Ke baadshahi se bhad ke pyare Nabi ke dar ki gadaagari hai.