Posts

Showing posts from 2016

Karam Ke Badal Baras Rahe Hain

Image
Karam ke badal baras rahe hain Dilon ki kheti hari bhari hai, Ye kaun aaya ke zikr jinka Nagar nagar hai galli galli hai... Diye dilon ke jalaye rakha Nabi ki mehfil sajaye rakhna, Jo rahat-e-dil sukoon jaan hai Woh zikr zikr-e-Muhammadi hai... Jo gaaliyah sun ke dein duaein Buron ko apne gale lagaye, Saraapa lutf-o-karam jo tehre Wo mere aaqa ki zindigi hai... Nabi ko apna Khuda na maano Magar Khuda se juda na jaano, Yeh Ahl-e-imaan ka hai aqeeda Khuda Khuda hai Nabi Nabi hai... Main apni qismat pe kyun na jhoomun Main kyun na waliyon ke dar ko chumun, Main naam-e-lewa Mustafa ka Khuda ke bandon se dosti hai... Hai dosh par jin ke kamli kaali Wohi to hain do jahan ke waali, Koi sawali na bheja khaali Ye shaan mere kareem ki hai... Na maango duniya ke tum khazane Chalo  Niyaazi chalein Madine, Ke baadshahi se bhad ke pyare Nabi ke dar ki gadaagari hai.

Qallat Hee Lati Anta Waseelati Adrikni Ya Rasool'Allah

Image
Qallat Hee Lati Anta Waseelati, Adrikni ya Rasoolallah Adrikni Ya Habeeballah... Nibhaalo Tum Nibhaalo Tum Nibhaalo Ya Rasool Allah, Bulaalo Ab Madine Mey Bulaalo Ya Rasool Allah... Satate Hain Jo Duniya Wale Is Ka Kuch Nahi Hain Gham, Mujhe Bas Apna Keh Kar Tum Bulaalo Ya Rasool Allah... Sunehri Jaaliyon Key Saamne Pohcha Hoon Mey Aaqa, Mujhe Apni Ziyaarat Tum Karaado Ya Rasool Allah... Meri Qismat Buree Ho To Khudara Tum Bhalee Kardo, Sanwaaro Meri Qismat Ko Sanwaaro Ya Rasool Allah... ‘Ataa Ho ‘Ilm Ki Daulat ‘Ataa Ho Deed Ki Daulat, Damey Aakhir Madina Bhi ‘Ataa Ho Ya Rasool Allah... Shafa’at Ka Sawali Hoon Sawali Hoon Mai Rehmat Ka, Ijaabat Se Nawaazo Tum Nawaazo Ya Rasool Allah... Mo’in-e-Raah-e-Taiba Hain Mere Khwaja Mo’inuddeen, Mo’in-e-Raah-e-Jannat Bhi Banaado Ya Rasool Allah... Tasadduq Ghaus e A’azam Ka Tawassul A’ala Hazrat Ka, Baqee-e-Paak Ke Qaabil Banaado Ya Rasool Allah... Nigah-e-Mufti-e A’azam Ney Zinda Kardiya Dil Ko, Unhi Ka Saath Mehshar Me ‘Ataa

Nikhri Nikhri Pyari Pyari Mustafa Ki Guftagu

Image
Nikhri nikhri pyari pyari Mustafa ki Guftagu, Aab-e-Kausar se bhi mithi Mustafa ki Guftagu... Jisko sunkar apna har gham bhool jaate hai sabhi, Qalb ko Taskeen deti Mustafa ki Guftagu... Noor ki kirnein nikhri mou jab bhi bolte, Noor se bharpur hoti Mustafa ki Guftagu... Keh uthe be saqta sunkar Fasihan-e-Arab, Ho nahi sakti bashar ki Mustafa ki Guftagu... Baat sunte the Tahamul se har ek insan ki, Dil kisi ka na dukhati Mustafa ki Guftagu... Mustafa ki Guftagu pe Guftagu hum kya karein, Hum hai adna aur hai Aali Mustafa ki Guftagu... Hashr mai aayi Nida jaaye musafir khuld me, Ke jahan me isne ki thi Mustafa ki Guftagu.

Apni Nisbat Se Mai Kuch Nahi Hoon

Image
Apni nisbat se mai kuch nahi hu Is karam ki badaulat bada hu, Unke tukdo se aizaz pakar Tajdaaro ki saf me khada hoon... Is karam ko magar kya kahoge Maine maana mai sabse bura hoon, Jo buron ko samete huye hai Unke kadmo me mai bhi pada hoon... Dekhne walo mujh ko na dekho Dekhna hai agar toh ye dekho, Kiske daman se wabasta hoon mai, Kaun waali hai kiska gadha hoon... Dekhta hoon jab unki ataein Bhul jata hu apni khataye, Sar na damat se uthta nahi Jab mai apni taraf dekhta hoon... Shafaye muzniba ke karam ne Laaj rakhli mere khote pan ki, Nisbaton ka karam hai ye Khalid Khota hue bhi khada hoon... Ya nabi apne gham ki kahani Keh sakunga apni zubani, Bin kahe hi meri laaj rakhlo Mai sisakti huyi iltija hoon.

Tumhara Naam Musibat Me Jab Liya Hoga

Image
Tumhara naam musibat me jab liya hoga, Humara bigda hua kaam ban gaya hoga... Gunahgaar pe jab lutf aap ka hoga, Kya baghair kya be kya kya hoga... Khuda ka lutf hoga dastagir zaroor, Jo girte girte tera naam le liya hoga... Dikhai jaaige mehshar me shaane mahboobi, Ke aap hi ki khushi aap ka kaha hoga... Khudaye paak ki chahein ge agle pichle khushi, Khudaye paak khushi unki chahta hoga... Kisi ke paaon ki bedi ye kaat te honge, Koi aseere gham unko pukaarta hoga... Kisi taraf se sada aayegi Huzoor aao, Nahi to dam me gareebon ka faisala hoga... Kisi ke palle pe ye honge waqt wazne amal, Koi umeed se mooh unka tak raha hoga... Koi kahe ga duhaai hai Ya RasoolAllah, To koi thaam ke daman machal gaya hoga... Kisi ko leke chalein ge farishte sooye jaheem, Wo unka raasta phir phir ke dekhta hoga... Shikastha paaon mere haal ki khabr kar do, Koi kisi se ye ro ro ke ke raha hoga... Khuda ke waaste jald unse arze haal karo, Kise khabr hai ke dambhar me haal kya hoga...

Zikr-e-Ahmed Se Seena Saja Hai

Image
Zikre Ahmed se seena saja hai Ishq hai ye tamasha nahin hai, Wo bhi dil koi dil hai jahaan mein Jisme tasveere taibah nahin hai... Ae meri maut ruk ja abhi tu Phir chalenge (milenge) jahaan tu kahegi, Apne mashke tasavvur mein taibah Maine jee bhar ke dekha nahin hai... Hajj ki daulat jise mil na paaye Jaaye jaaye wo ghar apne jaaye, Maa ke kadmon ko wo choom le jo Sange Asvad ko chooma nahin hai... Hum husaini hain karbal ke shaida Dil kabhi bhi na hota hai maila, Kufr (Shirk) ki dhamkiyon se dare jo Sunniyon ka kaleja nahin hai... LaaMakaan tak hai teri rasai Geet gaati hai saari khudai, Wo jagah hi nahi do jahan me Jis jagah tera charcha nahi hai... Khak paaye nabi munh pe malna Itr ho mustafa ka paseena, Unki chadar ka tukda kafan ho Aur koi tamanna nahin hai.

Naat Padhne Ki Aadat Badi Cheez Hai

Image
Naat kehta hoon main Naat padhta hoon main, Pyare Aaqa ki midhat badi cheez hai Ye sa'adat bhi hai ye ibadat bhi hai, Naat padhne ki aadat badi cheez hai... Sher bakri ko lekar gaya shaan se Log samjhe ke bakri gayi jaam se, Mustafa ki badaulat ama mil gayi Mustafa ki ziyarat badi cheez hai... Jaan ki baazi laga kar bhi na kaam ho Ek ada chodh kar kaisa be kaam ho, Sirf miswak se jang ko jeetli Mere Aaqa ki sunnat badi cheez hai... Mai bahot der se Naat padhta raha Aap bhi shauk se Naat sunte rahe, Naat sunkar ke bhi aap khamosh hai Aap logon ki himmat badi cheez hai... Char sau saal se saamp bataab tha Uski aankhon me bas ek hi khwaab tha, Ek nazar dekhlon rube badruduja Uske dil ki ye hasrat badi cheez hai... Jisko chaaha Nabi ne wali kar diya Ek nazar uth gayi aur Ali kar diya, Pucho Siddiq Farooq Osman se Mustafa ki khilafat badi cheez hai... Maa ke khadmon ko sar pe uthaye chalo Uski tazeem dil me basaye chalo, Usse katra ke dozaq me jaao na tum Maa

Sarkar Jaante Hai

Image
Kis lab pe kya dua hai Sarkar jaante hai, Kis ke dilon me kya hai Sarkar jaante hai... Murda hai ya ke zinda Bachi hai ya ke bacha Puqta hai ya ke kaccha Aur kis ka Hai Ye nutfa, Kisko bhala khabar hai Majbur Har Bashar hai Maa ke shikham me kya hai Sarkar jaante hai... Shakhe khajoor lekar Qabro pe dalte hai Maiyat ki har saza ko Palbhar me taalte hai, Murda hai kis Jaga ka Iska hai majira kya Qabro me haal kya hai Sarkar jaante hai... Mehraj ka safar hai Sarkar jaa rahe hai Aur LaMakaan pahuch kar Tashreef laa rahe hai, Mehraj hai Hakiqat Imaan hai yeh warna Parde me kya rakha hai Sarkar jaante hai... Sidrah pe leke pahuche Jibril sath chorde Mujh ko na kuch pata hai Kehte hai haath jode, Aage Huzoor jaye Yeh meri intaha hai Sidrah ke aage kya Hai Sarkar jaante hai... Kabhi Kaaf keh rahe hai Kabhi Sa'ad keh rahe hai Kabhi Ayn keh rahe hai Kabhi Haa pe reh rahe hai, Jibril keh rahe hai Yeh Raaz ki hai baate Maana mafhoom kya hai Sarkar ja

Luft Unka Aam Ho Hi Jayega

Image
Lutf unka aam ho hi jayega, Shaad har naa kaam ho hi jayega... Jaan dedun wada-e-deedar par, Naqd apna daam ho hi jayega... Shaad hai Firdous yaani ek din, Qismat-e-khud daam ho hi jayega... Yaad reh jayegi ye be-baakhiyaan, Nafs tu to raam ho hi jayega... Be-Nishaanon ka nishaan mit-ta nahi, Mit-te mit-te naam ho hi jayega... Yaad-e-Gesun Zikr-e-Haq hai aah kar, Dil me paida Laam ho hi jayega... Ek din aawaaz badlegi ye saaz, Chah-chaha koh-raam ho hi jayega... Saail-o-Daaman saqi ka thaam lo, Khud na khud in-aam ho hi jayega... Yaad-e-Abru kar ke tadpo bulbulu, Tukde tukde daam ho hi jayega... Muflison unki gali me jaa pado, Baal-e-khuld ikraam ho hi jayega... Gar yuhin rahmat ki taaweelein rahi, Mahad har il-zaam ho hi jayega... Baada Quari ka saman bandne to do, Shaikh durd-e aa-shaam ho hi jayega... Gham to unku bhulkar lipta hai yun, Jaise apna kaam ho hi jayega... Mit ki gar yunhi raha qarz-e-hayaat, Jaan ka ni-laam ho hi jayega... Aakilon unki nazar

Chain Tum Se Qarar Tum Se Hai

Image
Chain tum se qarar tum se hai, Zindagi ki bahar tum se hai... Kya karun leke saari duniya ko, Mere dil ka qarar tum se hai... Be-waseelon ke tum waseela ho, Fazl-e-parwardigaar tum se hai... Laaj rakhna ke mai tumhara hoon, Meri jeet aur haar tum se hai... Yun to duniya me hai hazaron haseen, Kya karun mujhko pyar tum se hai... Ishq me iqtiyaar hota hai, Ishq be-iqtiyaar tum se hai... Ya Habeebi Muhammadi Arabi, Mera bagh o bahar tum se hai... Ya Muhammed umeed waare karam, Hasrat e khaksaar tum se hai.

Suye Taiba Ye Samajh Kar Hai Zamane Jaate

Image
Suye Taiba ye samajh kar hai zamane jaate, Ye wo roza hai jahan dil nahi tode jaate... Rutbe sarkar ke kya qalq se jaane jaate, Sab pe asrar e ilaahi nahi khole jaate... Noor ki had me faqad Noor hi jaa sakta hai, Sirf agar hote bashar arsh pe kaise jaate... Koi sarkar ko sar ta pa qadam kya dekhe, Paaye aqdas bhi barabar nahi dekhe jaate... Bhool jaate the sahaba gham o aalam apne, Dekh lete the jo sarkar ko aate jaate... Unke kirdaar ka qad naap rahi hai duniya, Jinke deewano ke qad tak nahi naape jaate... Zindagi doori ye sarkar me qud maut hai shouk, Hum hai har saans me apne se bikhar te jaate... Jism ke saath uthaye gaye jab ke ISA Noor e gul kyun na shab e ashra badan se jaate. 💐Sallalahu alaihi wasallam💐

KAABE KI RAUNAQ KAABE KA MANZAR...

Image
Kaabe ki rounaq Kaabe ka manzar Allahu Akbar Allahu Akbar, Dekhun to dekhe jaaun barabar Allahu Akbar Allahu Akbar... Hairat se khud ko kabhi dekhta hoon Aur dekhta hoon kabhi mai haram ko, Laya kahan mujhko mera muqaddar Allahu Akbar Allahu Akbar... Hamd-e-Khuda se tar hai zabaane Kaano me ras gholti hai azaane, Bas ek sadaa aarahi hai barabar Allahu Akbar Allahu Akbar... Mangi hai maine jitni duaen Manzoor hogi maqbool hogi, Mizaab-e-Rahmat hai mere sar par Allahu Akbar Allahu Akbar... Tere karam ki kya baat Maula Tere haram ki kya baat Maula, Taa umr karde aana muqaddar Allahu Akbar Allahu Akbar... Yaad aagayi jab apni khataye Ashkon me dhalne lagi iltijaen, Roya Gilaf-e-Kaaba pakad kar Allahu Akbar Allahu Akbar... Dekha Safa bhi Marwa bhi dekha Rab ke karam ka jalwa bhi dekha, Dekha rawa ek saron ka samandar Allahu Akbar Allahu Akbar... Kaabe ke upar se jaate nahi hai Kisko sabak yeh sikhate nahi hai, Kitne moadab hai yeh kabutar Allahu Akbar Allahu A

Apne Malik ka mai Naam lekar

Image
Apne Malik ka Mai naam lekar bazm ki ibteda kar raha hoon, Ya khuda aabru rakh meri tu Teri Hamd-o-Sanaa kar raha hoon... Tu Jo chahe to banjaye qismat mere sajdon ki kya hai haqeeqat, Teri chaukhat pe sar ko jhukakar Farz apna adaa kar raha hoon... Maine duniya ka dekha nazara Al madad kehke Maine pukara, Mujhko apni panahon me rakhna Bas yahi ilteja kar raha hoon... Aaj mehfil me baithe hai jitne Sabke dil ki tamanna ho Puri, Sabko haji banade tu maula Mai tadap kar dua kar raha hoon... Apne mehboob ka dar dikhade Mera soya muqaddar jagade, Lutfe duniya ko Le aajse Mai Apne dil se juda kar raha hoon.

ALLAH DA NAAM LAYYE, MAULA DA NAAM LAYYE...

Image
Allah da naam layye Maula da naam layye, Ek pal na gafil huyye subha te shaam layye... Har shai da khaliq Allah Malik te raziq Allah, Ohadi Ibadat kariye Us tu inaam layye... Mushkil nu talan wala sab nu uh palan wala, Banke hamesha us de sachche gulaam rahiye... Nabiyyan da Nasir Allah waliyyan da Rahbar allah, Allah Di rah te mariye aali maqam layye... Rab de piyare utte ha Arabi Aaqa utte, Raj Raj Durood padhiye kamli nu tham layye... Daman waliyyan da phadiye Allah nu razi kariye, Tauhidi maikhane chin bhar bhar ke jaam layye... Aakhan Ameen aakhan nale yaqin aakhan, Qaim tauhid utte jindadi tamaam rahiye.