Posts

SAYYAD NE KARBALA ME WAADE NIBHA DIYE HAI

Image
Sayyad ne Karbala me Waade nibha diye hai, Deene Muhammadi ke Gulshan khila diye hai... Bole Hussain maula, Teri raza ki khaatir, Ek ek kar ke maine Heere luta diye hai... Deene Nabi pe waari Akbar ne bhi jawaani, Abbas ne bhi apne Baazu kataa diye hai... Zainab ke baagh me bhi Do phool the mehekte, Zainab ne wo bhi dono Raahe khuda diye hai... Bakshish hai uski Laazim Sayyad ke gham me Hafiz, Do chaar aanson ro kar Jis ne baha diye hai.

ILAAHI HAMD SE AAJIZ HAI

Image
Ilaahi Hamd se aajiz hai Ye saara jahan tera, Jahan waalon se kyun na kar Ho sake zikr Wa bayaan tera... Zameen wa aasman ke Zarre Zarre me tere jalwe, Nigahon ne jidhar dekha Nazar aaya nisha'n tera... Thikana har jagah tera Samajhte hai jahan waale, Samajhme inhe sakta Thikana hai kahan tera... Tera mahboob paighambar Teri azmat se waaqif hai, Ke sab Nabiyon me tanha hai Wahi el raazdan tera... Jahan rang wa boo ki Waaston ka raazdan tu hai, Na koi hamsafar tera Na koi Kaarwan tera... Teri zaat Maula aakhiri Taareef me laaiq, Chaman ka patta patta Roz wo shab hai naghma Khwan tera. --Mohammad Ali Zahoori.

MERE DIL KI ZAMEEN PAR HAI QADAM ZEHRA KE BACHCHON KA.

Image
Mere Dil ki zameen (sathe'n) par hai Khadam Zehra ke bachchon ka, Meri naslon pe hai daste Karam Zehra ke bachchon ka... Zamane ka koi bhi ranj Use ruswa nahi karta, Sakunat paane jis seene me Gham Zehra ke bachchon ka... Khuda ke fazl se izne Ziyarat ka sharaf paaya, Zahe qismat mai dekh aaya Haram Zehra ke bachchon ka... Hazaron koshishe karli Zamane ne jhukane ki, Mujhe jhukne nahi deta Bharam Zehra ke bachchon ka... Gulestan-e-Payambar ka Har ek gul hai Gul-e-Tanveer, Mumaasil hi nahi Rab ki Qasam Zehra ke bachchon ka.

KAUN HAI AY SARWAR-E-DEEN TERE JAISA KAUN HAI...?

Image
Kaun hai ay Sarwar-e-Deen Tere jaisa kaun hai, Just-e-Resham suduha ki Shaan waala kaun hai...? Ye to hai Aaqa tumhare Naam hi ki barkatein, Hum faqeeron ko wagarna Bheek deta kaun hai...? Tu Kareem-e-Do Jahan hai Mai Faqeer-e-Na tamam, Tujhsa daata kaun hai aur Mujhsa mangta kaun hai...? Sadqa apne laadlon ka Ek rahmat ki nazar, Rahmaton waale Nabi Mera sahara kaun hai...? Laj waale laj rakhna Tera Keh lata hoon mai, Mujhse bekas be-nawa Mangte ka daata kaun hai...? Haath se damaan na chute Mustafa ki Aal ka, Is gharane ke Ilawa Mera tera kaun hai...? Yaad kar Zahid makaan se Lamakan ka wo safar, Kis la dam sidra pe tuta Aage pahoncha kaun hai...? Panjtan ka naam lewa Hoon koi mujrim nahi, Duniya waalon unse Aala Unse achcha kaun hai...? Naam lewa hoon Nabi ka Aur Nabi ki Aala ka, Koi batlaye Niyazi Mujhse achcha kaun hai.?

KU-E-NABI SE AANA SAKE HUM...

Image
Ku-e-Nabi se aana sake hum Rahat hi kuch aisi thi, Yaad rahi na jannat hum ko Jannat hi kuch aisi thi... Takte rahe Yousuf jaise bhi Hashr me unke chehre ko, Jab pucha to kehne lage wo Surat hi kuch aisi thi... Bolo ay Jibreel ke unki Kyun kar Taliyan chumi thi, To kehne lage Jibreel ke unki Azmat hi kuch aisi thi... Paas bulaya paas bithaya Arsh pe unko Qaliq ne, Ye to aakhir hona hi tha Chahat hi kuch aisi thi... Akbar-o-Asghar aur ye Ghazi Deen pe waare has has kar, Yun lagta hai Deen-e-Nabi ki Qeemat hi kuch aisi thi... Duniya me Sarkar ki Naatein Padhte rahe har ek lamha, Khabr me bhi thi Naat labon par Aadat hi kuch aisi thi... Khabr me Haakim jab pahonche to Has ke nakeeron ne dekha, Kyun na Farishte pyar se milte Nisbat hi kuch aisi thi.

HUZOOR KI YAAD PHIR AGAR HO...

Image
Huzoor ki yaad phir agar ho To sar se haazir ghulam hoga, Nazar ke sajdon ki nazr hogi Durood hoga salam hoga... Har ek jagah unke zere saya Agar hamara muqam hoga, To ek manzil hai wo bhi jiska Muqaam-e-mahmood naam hoga... Rahenge kausar pe jama maikash Aur ek ajab faiz-e-aam hoga, Kisi ke hisse me chashme saqi Kisi ke hisse me jaam hoga... Amal ki jis din jaza milegi Jaza ka jab intezam hoga, Ajeer phir bhi ajeer hoga Ghulam phir bhi ghulam hoga... Abhi wo chahe to ek nazar me Hamari duniya badal ke rakhden, Unhi pe hum sab ki hai nigahen Unhi se pura ye kaam hoga... Huzoor-e-aqdas ke dar ke qabil Agar nahi sar kisi ko haasil, Nazar ke sajdon ko kisne roka Jabeen ka sajda haraam hoga... Bikhar ke ayenge unki rukh par Jo zulf-e-shab go baroze mehshar, Bayak nigahe karishma parwar Nazaraye subho sham hoga... Hamari Jo kuch bhi zindagi hai Wo hum ko ishq-e-nabi ne di hai, Unhi pe mar marke jee rahe hain Unhe pe marne se kaam hoga... Galat nahi hai agar kahun mai Wo saath me