HUZOOR KI YAAD PHIR AGAR HO...

Huzoor ki yaad phir agar ho
To sar se haazir ghulam hoga,
Nazar ke sajdon ki nazr hogi
Durood hoga salam hoga...

Har ek jagah unke zere saya
Agar hamara muqam hoga,
To ek manzil hai wo bhi jiska
Muqaam-e-mahmood naam hoga...

Rahenge kausar pe jama maikash
Aur ek ajab faiz-e-aam hoga,
Kisi ke hisse me chashme saqi
Kisi ke hisse me jaam hoga...

Amal ki jis din jaza milegi
Jaza ka jab intezam hoga,
Ajeer phir bhi ajeer hoga
Ghulam phir bhi ghulam hoga...

Abhi wo chahe to ek nazar me
Hamari duniya badal ke rakhden,
Unhi pe hum sab ki hai nigahen
Unhi se pura ye kaam hoga...

Huzoor-e-aqdas ke dar ke qabil
Agar nahi sar kisi ko haasil,
Nazar ke sajdon ko kisne roka
Jabeen ka sajda haraam hoga...

Bikhar ke ayenge unki rukh par
Jo zulf-e-shab go baroze mehshar,
Bayak nigahe karishma parwar
Nazaraye subho sham hoga...

Hamari Jo kuch bhi zindagi hai
Wo hum ko ishq-e-nabi ne di hai,
Unhi pe mar marke jee rahe hain
Unhe pe marne se kaam hoga...

Galat nahi hai agar kahun mai
Wo saath mere mai saath unke,
Layeeqe maaman ahab ke farman
Me kya kisiko kalam hoga.

Comments

Popular posts from this blog

YA NABI SALAM ALAIKA, YA RASOOL SALAM ALAIKA...

Shah-e-Taiba Ke Naam Do Kadam Saath Saath

Suye Taiba Ye Samajh Kar Hai Zamane Jaate