Ya Nabi Salam Alaika, Ya Rasool Salam Alaika, Ya Habeeb Salam Alaika, Salawatullah Alaika... Aap ka tashreef laana, Waqt bhi kitna suhana, Jagmaga utha zamana, Hoorein gaati thi tarana... Rahmaton ke Taj waale, Do jahan ke Raj waale, Arsh ki Meraj waale, Asiyon ki Laaj waale... Itna karam shahe umam ho, Khali rooh se jab badan ho, Aap ke shahar ka Kafan ho, Aur Madine me dafan ho... Ya Rasoolullah bachalo, Hum gire hum ko sambhalo, Naare dozakh se bachalo, Apni kamli me chupalo... Jakani ke waqt aana, Chehra-e-Anwar dikhana, Ambari zulfein sunghana, Kalma-e-Tayyib padhana... Naaz ke paalon ka sadqa, Dikh bhare naalon ka sadqa, Karbala waalon ka sadqa, Bheek do laalon ka sadqa... Sadqa do Ghousul Wara ka, Sadqa do Khwaja Piya ka, Sadqa do Kul Auliya ka, Ishq do Ahmed Raza ka... Ya Rasoolullah... Aap ke rutbe bade hai, Hum gunahon me pade hai, Baqsh do jitne khade hai, Hum yahan chote bade hai.
Shah-e-Taiba Ke Naam Do Kadam Saath Saath, Mere Aaqa Ke Naam Do Kadam Saath Saath... Gungunate Chalo Muskurato Chalo, Naara-e- Ya Muhammad Lagate Chalo... Jashn-e-Meelad Hai Kya Haseen Baat Hai, Sab ke Daaman Me Khushiyon Ki Khairaat Hai... Karwan-e- Muhammad Rukega Nahi, Kamli Waale Ka Jhanda Jhukega Nahi... Nafraton Ko Mohabbat Me Dalenge Hum, Aao Sab ko Gale Se Lagayenge Hum... Mast-o-Bekhud Hai Sab Jashne Meelad Me, Haidari Hai Sabhi Hyderabad Me... Apni Jaanon Ke Parwah Karte Nahi, Hum Hussaini Hai Batil Se Darte Nahi, Sayyeda Ka Gharana Salamat Rahe, Bakshishon Ka Thikhana Salamat Rahe... Qalbe Arshad Ki Hai Bas Yahi Iltija, Har Musalman Sipahi Bane Deen Ka. Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam.
Suye Taiba ye samajh kar hai zamane jaate, Ye wo roza hai jahan dil nahi tode jaate... Rutbe sarkar ke kya qalq se jaane jaate, Sab pe asrar e ilaahi nahi khole jaate... Noor ki had me faqad Noor hi jaa sakta hai, Sirf agar hote bashar arsh pe kaise jaate... Koi sarkar ko sar ta pa qadam kya dekhe, Paaye aqdas bhi barabar nahi dekhe jaate... Bhool jaate the sahaba gham o aalam apne, Dekh lete the jo sarkar ko aate jaate... Unke kirdaar ka qad naap rahi hai duniya, Jinke deewano ke qad tak nahi naape jaate... Zindagi doori ye sarkar me qud maut hai shouk, Hum hai har saans me apne se bikhar te jaate... Jism ke saath uthaye gaye jab ke ISA Noor e gul kyun na shab e ashra badan se jaate. 💐Sallalahu alaihi wasallam💐
Comments
Post a Comment