ILAAHI HAMD SE AAJIZ HAI

Ilaahi Hamd se aajiz hai
Ye saara jahan tera,
Jahan waalon se kyun na kar
Ho sake zikr Wa bayaan tera...

Zameen wa aasman ke
Zarre Zarre me tere jalwe,
Nigahon ne jidhar dekha
Nazar aaya nisha'n tera...

Thikana har jagah tera
Samajhte hai jahan waale,
Samajhme inhe sakta
Thikana hai kahan tera...

Tera mahboob paighambar
Teri azmat se waaqif hai,
Ke sab Nabiyon me tanha hai
Wahi el raazdan tera...

Jahan rang wa boo ki
Waaston ka raazdan tu hai,
Na koi hamsafar tera
Na koi Kaarwan tera...

Teri zaat Maula aakhiri
Taareef me laaiq,
Chaman ka patta patta
Roz wo shab hai naghma Khwan tera.

--Mohammad Ali Zahoori.

Comments

Popular posts from this blog

YA NABI SALAM ALAIKA, YA RASOOL SALAM ALAIKA...

Shah-e-Taiba Ke Naam Do Kadam Saath Saath

Suye Taiba Ye Samajh Kar Hai Zamane Jaate