KU-E-NABI SE AANA SAKE HUM...

Ku-e-Nabi se aana sake hum
Rahat hi kuch aisi thi,
Yaad rahi na jannat hum ko
Jannat hi kuch aisi thi...

Takte rahe Yousuf jaise bhi
Hashr me unke chehre ko,
Jab pucha to kehne lage wo
Surat hi kuch aisi thi...

Bolo ay Jibreel ke unki
Kyun kar Taliyan chumi thi,
To kehne lage Jibreel ke unki
Azmat hi kuch aisi thi...

Paas bulaya paas bithaya
Arsh pe unko Qaliq ne,
Ye to aakhir hona hi tha
Chahat hi kuch aisi thi...

Akbar-o-Asghar aur ye Ghazi
Deen pe waare has has kar,
Yun lagta hai Deen-e-Nabi ki
Qeemat hi kuch aisi thi...

Duniya me Sarkar ki Naatein
Padhte rahe har ek lamha,
Khabr me bhi thi Naat labon par
Aadat hi kuch aisi thi...

Khabr me Haakim jab pahonche to
Has ke nakeeron ne dekha,
Kyun na Farishte pyar se milte
Nisbat hi kuch aisi thi.

Comments

Popular posts from this blog

YA NABI SALAM ALAIKA, YA RASOOL SALAM ALAIKA...

Shah-e-Taiba Ke Naam Do Kadam Saath Saath

Suye Taiba Ye Samajh Kar Hai Zamane Jaate