Posts

Showing posts from August, 2020

SAYYAD NE KARBALA ME WAADE NIBHA DIYE HAI

Image
Sayyad ne Karbala me Waade nibha diye hai, Deene Muhammadi ke Gulshan khila diye hai... Bole Hussain maula, Teri raza ki khaatir, Ek ek kar ke maine Heere luta diye hai... Deene Nabi pe waari Akbar ne bhi jawaani, Abbas ne bhi apne Baazu kataa diye hai... Zainab ke baagh me bhi Do phool the mehekte, Zainab ne wo bhi dono Raahe khuda diye hai... Bakshish hai uski Laazim Sayyad ke gham me Hafiz, Do chaar aanson ro kar Jis ne baha diye hai.

ILAAHI HAMD SE AAJIZ HAI

Image
Ilaahi Hamd se aajiz hai Ye saara jahan tera, Jahan waalon se kyun na kar Ho sake zikr Wa bayaan tera... Zameen wa aasman ke Zarre Zarre me tere jalwe, Nigahon ne jidhar dekha Nazar aaya nisha'n tera... Thikana har jagah tera Samajhte hai jahan waale, Samajhme inhe sakta Thikana hai kahan tera... Tera mahboob paighambar Teri azmat se waaqif hai, Ke sab Nabiyon me tanha hai Wahi el raazdan tera... Jahan rang wa boo ki Waaston ka raazdan tu hai, Na koi hamsafar tera Na koi Kaarwan tera... Teri zaat Maula aakhiri Taareef me laaiq, Chaman ka patta patta Roz wo shab hai naghma Khwan tera. --Mohammad Ali Zahoori.

MERE DIL KI ZAMEEN PAR HAI QADAM ZEHRA KE BACHCHON KA.

Image
Mere Dil ki zameen (sathe'n) par hai Khadam Zehra ke bachchon ka, Meri naslon pe hai daste Karam Zehra ke bachchon ka... Zamane ka koi bhi ranj Use ruswa nahi karta, Sakunat paane jis seene me Gham Zehra ke bachchon ka... Khuda ke fazl se izne Ziyarat ka sharaf paaya, Zahe qismat mai dekh aaya Haram Zehra ke bachchon ka... Hazaron koshishe karli Zamane ne jhukane ki, Mujhe jhukne nahi deta Bharam Zehra ke bachchon ka... Gulestan-e-Payambar ka Har ek gul hai Gul-e-Tanveer, Mumaasil hi nahi Rab ki Qasam Zehra ke bachchon ka.

KAUN HAI AY SARWAR-E-DEEN TERE JAISA KAUN HAI...?

Image
Kaun hai ay Sarwar-e-Deen Tere jaisa kaun hai, Just-e-Resham suduha ki Shaan waala kaun hai...? Ye to hai Aaqa tumhare Naam hi ki barkatein, Hum faqeeron ko wagarna Bheek deta kaun hai...? Tu Kareem-e-Do Jahan hai Mai Faqeer-e-Na tamam, Tujhsa daata kaun hai aur Mujhsa mangta kaun hai...? Sadqa apne laadlon ka Ek rahmat ki nazar, Rahmaton waale Nabi Mera sahara kaun hai...? Laj waale laj rakhna Tera Keh lata hoon mai, Mujhse bekas be-nawa Mangte ka daata kaun hai...? Haath se damaan na chute Mustafa ki Aal ka, Is gharane ke Ilawa Mera tera kaun hai...? Yaad kar Zahid makaan se Lamakan ka wo safar, Kis la dam sidra pe tuta Aage pahoncha kaun hai...? Panjtan ka naam lewa Hoon koi mujrim nahi, Duniya waalon unse Aala Unse achcha kaun hai...? Naam lewa hoon Nabi ka Aur Nabi ki Aala ka, Koi batlaye Niyazi Mujhse achcha kaun hai.?

KU-E-NABI SE AANA SAKE HUM...

Image
Ku-e-Nabi se aana sake hum Rahat hi kuch aisi thi, Yaad rahi na jannat hum ko Jannat hi kuch aisi thi... Takte rahe Yousuf jaise bhi Hashr me unke chehre ko, Jab pucha to kehne lage wo Surat hi kuch aisi thi... Bolo ay Jibreel ke unki Kyun kar Taliyan chumi thi, To kehne lage Jibreel ke unki Azmat hi kuch aisi thi... Paas bulaya paas bithaya Arsh pe unko Qaliq ne, Ye to aakhir hona hi tha Chahat hi kuch aisi thi... Akbar-o-Asghar aur ye Ghazi Deen pe waare has has kar, Yun lagta hai Deen-e-Nabi ki Qeemat hi kuch aisi thi... Duniya me Sarkar ki Naatein Padhte rahe har ek lamha, Khabr me bhi thi Naat labon par Aadat hi kuch aisi thi... Khabr me Haakim jab pahonche to Has ke nakeeron ne dekha, Kyun na Farishte pyar se milte Nisbat hi kuch aisi thi.

HUZOOR KI YAAD PHIR AGAR HO...

Image
Huzoor ki yaad phir agar ho To sar se haazir ghulam hoga, Nazar ke sajdon ki nazr hogi Durood hoga salam hoga... Har ek jagah unke zere saya Agar hamara muqam hoga, To ek manzil hai wo bhi jiska Muqaam-e-mahmood naam hoga... Rahenge kausar pe jama maikash Aur ek ajab faiz-e-aam hoga, Kisi ke hisse me chashme saqi Kisi ke hisse me jaam hoga... Amal ki jis din jaza milegi Jaza ka jab intezam hoga, Ajeer phir bhi ajeer hoga Ghulam phir bhi ghulam hoga... Abhi wo chahe to ek nazar me Hamari duniya badal ke rakhden, Unhi pe hum sab ki hai nigahen Unhi se pura ye kaam hoga... Huzoor-e-aqdas ke dar ke qabil Agar nahi sar kisi ko haasil, Nazar ke sajdon ko kisne roka Jabeen ka sajda haraam hoga... Bikhar ke ayenge unki rukh par Jo zulf-e-shab go baroze mehshar, Bayak nigahe karishma parwar Nazaraye subho sham hoga... Hamari Jo kuch bhi zindagi hai Wo hum ko ishq-e-nabi ne di hai, Unhi pe mar marke jee rahe hain Unhe pe marne se kaam hoga... Galat nahi hai agar kahun mai Wo saath me

MADAD YA ALI, ALI MAULA

Image
Madad Ya Ali, Ali Maula Madad Ya Ali, Ali Maula. Madad maangi hai sadqe Jalee Madad maangi hai sadqe Nabi Madad maangi hai sadqe Hasan Madad maangi hai sadqe Hussain, Ye wird kiya mushkil hai tali... Madad Ya Ali, Ali Maula Madad Ya Ali, Ali Maula. Mere Maula ke aane se Zamane me bahaar aayi, Wo hai Islam ki zeenat Wo hai Kaabe ki zebayi, Rasoolullah ke hai dilbar Khuda ke sher hai Haider, Falak kehta hai Jhuk jhuk kar Salami lijiye Haider, Sawali hai aap ke saare wali... Madad Ya Ali, Ali Maula Madad Ya Ali, Ali Maula. Unhe Allah ne baksha Hunar Mushkil kushayi ka, Batao hai koi hamsar Rasoolullah ke bhai ka, Arab ka ain Ali Maula Nabi ka chain Ali Maula, Zubaan ke saath dil bola Ali Maula Ali Maula, Lagao sada hai ye sab se bhali... Madad Ya Ali, Ali Maula Madad Ya Ali, Ali Maula. Bataun kya mila mujhko Ali ke aastane se, Mila Imaan mila Qur'an Muhammad ke gharane se, Ajab kuch aan waala hai Nirali shaan waala hai, Jahan me bol bala hai Nasab kitna ye aala hai, Ye keh ke khili ha

LAHAD ME AAQA KI DEED HOGI...

Image
Lahad mein aaqa ki deed hogi Mai saj ke ghar se nikal raha hoon, Mere azizon ye rona kaisa Makaan hi to badal raha hoon... Mere janaze pe rone waalo Fareb me hoon bagaur dekho, Mara nahi hoon ghame Nabi me Libas-e-Hasti badal raha hoon... Ho baad me ye sawaal pehle Nakeeron Aaqa ka zikr chedo, Milan ki shab hai kafan me mere Khushi ke maare machal raha hoon... Unhi ke dar ka faqeer hoon mai Muhabbaton ka aseer hoon mai, Mai be-sahara nahi hoon logon Nabi ke tukdon pe pal raha hoon... Gunah ki gathri hai sar pe bhaari Huzoor kaise mai guzrun pul se, Bachalo aa kar Shafi-e-Mehshar Ke pul se ab mai guzar raha hoon... Badi kathin hai Hassan ye raatein Sunaate rehna Nabi ki naatein, Sukoon milta hai dard-e-dil k Mai naat sun kar Bahel raha hoon.

YA NABI SALAM ALAIKA, YA RASOOL SALAM ALAIKA...

Image
Ya Nabi Salam Alaika, Ya Rasool Salam Alaika, Ya Habeeb Salam Alaika, Salawatullah Alaika... Aap ka tashreef laana, Waqt bhi kitna suhana, Jagmaga utha zamana, Hoorein gaati thi tarana... Rahmaton ke Taj waale, Do jahan ke Raj waale, Arsh ki Meraj waale, Asiyon ki Laaj waale... Itna karam shahe umam ho, Khali rooh se jab badan ho, Aap ke shahar ka Kafan ho, Aur Madine me dafan ho... Ya Rasoolullah bachalo, Hum gire hum ko sambhalo, Naare dozakh se bachalo, Apni kamli me chupalo... Jakani ke waqt aana, Chehra-e-Anwar dikhana, Ambari zulfein sunghana, Kalma-e-Tayyib padhana... Naaz ke paalon ka sadqa, Dikh bhare naalon ka sadqa, Karbala waalon ka sadqa, Bheek do laalon ka sadqa... Sadqa do Ghousul Wara ka, Sadqa do Khwaja Piya ka, Sadqa do Kul Auliya ka, Ishq do Ahmed Raza ka... Ya Rasoolullah... Aap ke rutbe bade hai, Hum gunahon me pade hai, Baqsh do jitne khade hai, Hum yahan chote bade hai.

Shah-e-Taiba Ke Naam Do Kadam Saath Saath

Image
Shah-e-Taiba Ke Naam Do Kadam Saath Saath, Mere Aaqa Ke Naam Do Kadam Saath Saath... Gungunate Chalo Muskurato Chalo, Naara-e- Ya Muhammad  Lagate Chalo... Jashn-e-Meelad Hai Kya Haseen Baat Hai, Sab ke Daaman Me Khushiyon Ki Khairaat Hai... Karwan-e- Muhammad Rukega Nahi, Kamli Waale Ka Jhanda Jhukega Nahi... Nafraton Ko Mohabbat Me Dalenge Hum, Aao Sab ko Gale Se Lagayenge Hum... Mast-o-Bekhud Hai Sab Jashne Meelad Me,   Haidari Hai Sabhi Hyderabad Me... Apni Jaanon Ke Parwah Karte Nahi, Hum Hussaini Hai Batil Se Darte Nahi, Sayyeda Ka Gharana Salamat Rahe, Bakshishon Ka Thikhana Salamat Rahe... Qalbe Arshad Ki Hai Bas Yahi Iltija, Har Musalman Sipahi Bane Deen Ka. Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam.