Chalo Diyaar-e-Nabi Ki Jaanib Durood Lab Par Saja Saja Kar.
Chalo diyaar-e-nabi ki janib Durood lab par saja saja kar, Baharain lutainge hum karam ki D ilon ko daman bana bana kar... Na unke jaisa sakhi hai koi Na unke jaisa ghani hai koi, Wo be-nawa-o ko har jaga se Nawaazte hain bula bula kar... Main wo nikamma hoon jiski jholi Main koi husn-e-amal nahi hai, Magar wo ehsaan kar rahe hain Khata-ain meri chupa chupa kar... Hai unku ummat se pyar kitna Karam hai rahmat shi'aar kitna, Hamaare jurmon ko dho rahe hain Wo apne aansu baha baha kar... Yahi asaas-e-amal hai meri Issi se bigdi bani hai meri, Samett-ta hoonn karam khuda ka Nabi ki naatain suna suna kar... Wo raahain ab tak saji hui hain Dilon ka kaaba bani hui hain, Jahan jahaan se Huzoor guzre Hain naqsh apna jama jama kar... Agar muqaddar ne yaawri ki Agar madine gaya main Khaalid , Qadam qadam khaak us gali ki Mein chum lunga utha utha kar.