Posts

Showing posts from May, 2017

Wah Kya Joodo Karam Hai Shahe Bat-ha Tera.

Image
Wah Kya Joodo Karam Hain Shahe Bat-Ha Tera, Nahi Sunta Hi Nahi Maangne Waala Tera... Dhaare Chalte Hain Ataa Ke Wo Hain Qatra Tera, Tare Khilte Hain Sakhaa Ke Wo Hain Zar-ra Tera... Faiz Hain Ya Shahe Tasneem Nirala Tera, Aap Pyaso Ke Tajas-sus Me Hain Dariya Tera... Agniyan Palte Hain Dar Se Wo Hain Bada Tera, Asfiya Chalte Hain Sar Se Wo Hain Rasta Tera... Farsh Waale Teri Shaukat Ka Uloo Kya Jaane, Khusrava Arsh Pe Udta Hain Pharera Tera... Aasmaan Khwan Zameen Khwan Zamana Mehmaan, Sahibe Khana Laqab Kiska Hain Tera Tera... Main To Maalik Hi Kahunga Ke Ho Maalik E Habeeb, Ya’ani Mehboob o Muheeb Me Nahi Mera Tera... Tere Qadmo Me Jo Hain Ghair Ka Muh Kya Dekhe, Kaun Nazro Pe Chadhe Dekh Ke Talwa Tera... Bahre Sa-il Ka Hu Sa-il Na Kuwe Ka Pyasa, Khud Bujha Jaye Kaleja Mera Cheeta Tera... Chor Haakim Se Chupa Karta Hain Ya Uske Khilaf, Tere Daamam Me Chupe Chor Anokha Tera... Aankhein Thandi Ho Jigar Taze Ho Jaan-E-Sairaab, Sachhe Suraj Wo Dil-Aara Hai Ujala Tera

Faaslo Ko Takalluf Hai Hum Se Agar.

Image
Faslon ko takalluf hai hum se agar Hum bhi be-bas nahi be-sahara nahi, Khud unhi ko pukarenge hum dur se Raaste me agar paun thak jaayenge... Jaise hi Sabz Gumbad nazar aayega Bandagi Ka qareena badal jaayega, Sar jhukane ki fursat milegi kise, Khud hi aankhon se sajde tapak jaayenge... Hum Madine me tanha nikal jaayenge Aur galiyon me qasdan bhatak jaayenge, Hum wahan jaake wapas nahi aayenge Dhundte dhundte log thak jaayenge... Naam unka jahan bhi liya jaayega Zikr unka jahan bhi kiya jaayega, Noor hi Noor sinon me bhar jaayega Saari Mehfil me jalwe lapak jaayenge... Aye Madine ke zaair khuda keliye Dastaan-e-safar mujhko yoon mat suna, Dil tadap jaayega baat badh jaayegi Mere mohtat aansu chalak jaayenge... Unki chashm-e-karam ko hai iski khabar Kis musafir ko hai kitna shauq-e-safar, Hum ko IQBAL jab bhi ijaazat mili Hum bhi Aaqa ke Darbaar tak jaayenge.