Ya Nabi Salam Alaika, Ya Rasool Salam Alaika, Ya Habeeb Salam Alaika, Salawatullah Alaika... Aap ka tashreef laana, Waqt bhi kitna suhana, Jagmaga utha zamana, Hoorein gaati thi tarana... Rahmaton ke Taj waale, Do jahan ke Raj waale, Arsh ki Meraj waale, Asiyon ki Laaj waale... Itna karam shahe umam ho, Khali rooh se jab badan ho, Aap ke shahar ka Kafan ho, Aur Madine me dafan ho... Ya Rasoolullah bachalo, Hum gire hum ko sambhalo, Naare dozakh se bachalo, Apni kamli me chupalo... Jakani ke waqt aana, Chehra-e-Anwar dikhana, Ambari zulfein sunghana, Kalma-e-Tayyib padhana... Naaz ke paalon ka sadqa, Dikh bhare naalon ka sadqa, Karbala waalon ka sadqa, Bheek do laalon ka sadqa... Sadqa do Ghousul Wara ka, Sadqa do Khwaja Piya ka, Sadqa do Kul Auliya ka, Ishq do Ahmed Raza ka... Ya Rasoolullah... Aap ke rutbe bade hai, Hum gunahon me pade hai, Baqsh do jitne khade hai, Hum yahan chote bade hai.
Shah-e-Taiba Ke Naam Do Kadam Saath Saath, Mere Aaqa Ke Naam Do Kadam Saath Saath... Gungunate Chalo Muskurato Chalo, Naara-e- Ya Muhammad Lagate Chalo... Jashn-e-Meelad Hai Kya Haseen Baat Hai, Sab ke Daaman Me Khushiyon Ki Khairaat Hai... Karwan-e- Muhammad Rukega Nahi, Kamli Waale Ka Jhanda Jhukega Nahi... Nafraton Ko Mohabbat Me Dalenge Hum, Aao Sab ko Gale Se Lagayenge Hum... Mast-o-Bekhud Hai Sab Jashne Meelad Me, Haidari Hai Sabhi Hyderabad Me... Apni Jaanon Ke Parwah Karte Nahi, Hum Hussaini Hai Batil Se Darte Nahi, Sayyeda Ka Gharana Salamat Rahe, Bakshishon Ka Thikhana Salamat Rahe... Qalbe Arshad Ki Hai Bas Yahi Iltija, Har Musalman Sipahi Bane Deen Ka. Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam.
Apne Malik ka Mai naam lekar bazm ki ibteda kar raha hoon, Ya khuda aabru rakh meri tu Teri Hamd-o-Sanaa kar raha hoon... Tu Jo chahe to banjaye qismat mere sajdon ki kya hai haqeeqat, Teri chaukhat pe sar ko jhukakar Farz apna adaa kar raha hoon... Maine duniya ka dekha nazara Al madad kehke Maine pukara, Mujhko apni panahon me rakhna Bas yahi ilteja kar raha hoon... Aaj mehfil me baithe hai jitne Sabke dil ki tamanna ho Puri, Sabko haji banade tu maula Mai tadap kar dua kar raha hoon... Apne mehboob ka dar dikhade Mera soya muqaddar jagade, Lutfe duniya ko Le aajse Mai Apne dil se juda kar raha hoon.
Comments
Post a Comment